Manqabat E Aurangzeb Alamgir
Manqabat dar shan-e-paikar-e-adl, naazish-e-faqr, aalim nabeel, faazil jaleel, haafiz-e-Quran, Mujaddid-e-Waqt, Badshah-e-Islam Hazrat Sultan Muhi-ud-Din Abu al-Muzaffar Muhammad Aurangzeb Alamgir Rahmatullah Alahi Zulm ki modi kalayi aap ne Aurangzeb Dhool batil ko chatayi aap ne Aurangzeb Paansau ulama se Alamgiri karwa ke raqam Deen ki azmat badhayi aap ne Aurangzeb Hind mein Islam ko naafiz kiya kis shaan se Adl ki basti basayi aap ne Aurangzeb Sunnat-e-Khair-ul-Wara ko aam har soo kar diya Rasm bid'at ki mitayi aap ne Aurangzeb Aalim o faazil, mujaddid, haafiz o sultan-e-Hind Ki sa'adat kis ne paayi? Aap ne Aurangzeb Mil gaya kitno ke murde qalb ko aab-e-hayat Dil pe jab thokar lagayi aap ne Aurangzeb Naam se hi narghah-e-batil mein hai halchal machi Wah kya haibat hai paayi aap ne Aurangzeb Dard se karraahte hain aaj bhi aa'da-e-deen Zarb yun un par lagayi aap ne Aurangzeb Is liye bas aap se kuffar saare hain khafa Zulm par ki hai chadhai aap ne Aurangzeb Zalimoo(n) n...